ICUFC FORUM


Join the forum, it's quick and easy

ICUFC FORUM
ICUFC FORUM
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Murda sharir

Go down

Murda sharir Empty Murda sharir

Post by AMAN KUMAR Mon Jun 11, 2012 11:25 am

Jald hi main yha murda sharir(anthony) lgane wala hu.ye ek fan work hai. iske review aap yha de
https://icufc.forumotion.com/t40-murda-sharir-review
AMAN KUMAR
AMAN KUMAR

Posts : 84
Join date : 2012-06-07

Back to top Go down

Murda sharir Empty part-1.....

Post by AMAN KUMAR Mon Jun 11, 2012 11:34 am

Rupnagar-ek aisa nagar jiski rakhwali karta hai ek murda anthony gunjalwage jo khud jurm ka shikar ho kar mara gya tha.aur tab usne is duniya se apradh khatm karne ka parn liya.
Par apradh kabhi mitta nhi vah naye-2 rup badalkar vapas aa hi jata hai.
Rupnagar ki dharti par ek naye aafat k kadam pad gye the jiska nam tha-tantrik mahakal.
Mahakal-yhi sheher hai wo jha murda anthony rahta hai.mujhe uske sharir me rakhi shaktiya chahiye jisse mai apna maksad pura kar saku.par vah murda kis kabristan me rahta hai ye to mujhe pta nhi? Koi bat nhi murda apna pta khud btayega?
Aur aisa kahkar tantrik apne hatho ko hwa me lahrata hai aur sath hi sath koi mantr bi bolta hai.kuch hi pal bite honge ki tantrik k aage 2 aatmaye khadi ho gyi thi.
Tantrik ne unhe 2 murda shariro me pravesh kara diya.
Mahakal-is nagar me itna aatank macha do ki vah murda tumhe rokne aaye aur tab mai uske sharir par kabja kar lu.
Mahakal k itna kahte hi murdo ne nagar me hungama machana shuru kar diya.aatankit log murdo se bachne k liye bhage.
Cowa(crow) prince ye sab dhekh rha tha aur vah tezi se ek taraf ud chala.use pta tha ki madad k liye use kha jana hai.jaldi hi vah rupnagar k ek kabristan me tha aur ek kabra k samne chilla rha tha.kuch hi der me vah kabra phat gyi aur usme se nikla anthony.
Prince-kanw kanw
anthony prince ki pukarne ka matlab samjhta tha.
Anthony-jaldi le chal.
Prince anthony ko lekar wha jata hai jha murde aatank macha rhe the.
Anthony murdo ko jordar gunsha marta hai aur murde gir jate hai.murde anthony ko dhekhte hai aur uspar hamla kar dete hai.
Murde-malik ki yojna kamyab rhi ab ham tera sharir hasil kar lenge aur tu hme rok nhi payega.
Aur murde anthony par ek kiran var karte hai.anthony un kirno me jakda jata hai.par agle hi pal vah teleport ho kar un kirno se aajad ho jata hai.aur anthony palatwar karte huye murdo par thandi aag fenkta hai par murdo par iska koi asar nhi hota.anthony samajh jata hai ki ye jinda insan nhi balki murde hai.jo kisi shaitani takat se jinda hai.
Agle hi pal anthony war karne ka tarika badlta hai aur unke dilo par war karta hai par murde nhi marte aur murde anthony par var kar uska ek hath kat dete hai.anthony ab thoda satark ho jata hai.aur is bar vah dono murdo ko pakadkar ek bhatti me gira deta hai.dono murde jal jate hai.aur aatmaye bahar aa jati hai.anthony ka kta hua hath shaitano k ant k sath hi vapas shi ho jata hai.par aatmaye wha se gyi nhi thi vah dubara anthony par hamla karne lgi.aur is bar vah pahle se jyada khatrnak thi.anthony k liye ab mushkil bad rhi thi.udhar mahakal bi is romanchak jung ko dhekh rha tha.anthony aatmao par kai war karta hai par aatmao par koi asar nhi ho rha tha.prince bi ye ldai dhekh rha tha aur uski nazar mahakal par pdi jo hath me ek tabiz liye huye tha jiske andar se roshniya nikalkar aatamao par pad rhi thi.prince samajh jata hai ki in aatmao ka is tabiz se koi sambhand hai aur vah udkar mahakal k hatho se us tabiz ko jhapat leta hai aur vah tabiz anthony ko de deta hai.
Anthony us tabiz ko nast kar deta hai aur isi k sath aatmaye bi gayab ho jati hai.prince anthony ko mahakal k bare me bi btata hai.prince ki bate sunkar anthony wha mahakal ko dhundhta hai par anthony ko mahakal nhi milta hai.kuch hi der me anthony wapas chal deta hai whi pas me chhupa mahakal bi uske phiche chal deta hai.anthony wapas kabra me chala gya tha aur uska phicha kar rha mahakal bi ye dhekh rha tha.mahakal ne kuch der waqt kiya jab tak ki subah ki pahli kiran nhi nikal jati.kuch hi der me subah ho gyi thi aur mahakal anthony ki kabra k pas jata hai aur wha khodna shuru kar deta hai.kuch hi der me mahakal anthony ka nispran sharir utha leta hai.
Mahakal-hahaha ab anthony k shrir par mera kabja ho gya hai ab mai anthony k hatho apradh karaunga aur fir anthony k sharir ki bali dekar mahashaitan ko jinda karunga mujhe koi nhi rok payega.koi nhi.aur jo mujhe rok sakta tha uska khud ka sharir mere kabje me hai.
Kramsh:
AMAN KUMAR
AMAN KUMAR

Posts : 84
Join date : 2012-06-07

Back to top Go down

Murda sharir Empty part-2.....

Post by AMAN KUMAR Mon Jun 11, 2012 11:35 am

Murde k sharir par mahakal ne apna kabja kar liya tha ab vah murde sharir k sath kya karta ye uspar tha.
Mahakal ne murde k sharir par kuch der tak jane kya kiya aur uske bad use punh dafna diya.
Aakhir mahakal chahta kya tha murde k sharir ko usne dobara dafna kyu diya aur isse mahakal ko kya hasil hua?
Khi par koi gahra shadyantra racha ja rha tha jiska shikar hone wala tha murda.
Rat huyi hmesha ki tarah apradh hone par prince murde k kabr paraakar chilaya aur murda kabra fodkar bahar aa gya.aur murda prince k btaye jagah par jane lga.par ye kya aaj murde ko aisa lag rha tha jaise uska apne sharir par control hi nhi hai.murde ka sharir anthony ko ek alag hi jagahle gya jha charo taraf kankal hi kankal bhikhre pde the.
Anthony-ye ye mai kha aa gya aur ye kaun si jagah hai?Mujhe yha se nikal jana chahiye par par ye jagah to charo taraf se band ho gyi hai yha se niklne ka sirf ek hi rasta hai wah darwaja par mujhe sambhal kar jana chahiye khi koi khatra na ho?
Aur anthony us darwaje k bhitr chala jata hai.
Mahakal-murde k sharir par kabja karna mushkil tha isliye use maine us tilisme me pahucha diya hai jise todne par aazad ho jayega mahashaitan.par mujhe murde se sovdhan rahna hoga kyuki wo mere plan me adanga dal sakta hai.maine murde ka dimag pda tha aur mai jan gya hu ki use kaise kabu me karna hai.
Murda anthony darwaje me ghus gya tha aur agle hi pal wah ek anokhi duniya me pahuch jata hai jha charo taraf shishe hi shishe the aur harek me ek hi aadmi nazar aa rha tha.
Anthony-kaisi jagah hai ye aur in shisho me dhikhte aadmiyo ka kya rahshya hai.
Achanak hi wha dhamaka hota hai aur jab anthony ki aankhe khuli to shishe me dhikhti aadmiyo k prtirup wha maujud the.aur vah sabhi anthony par hamla kar dete hai.anthony unpar war karta hai par kisi ko kuch nhi.anthony ka war un prtirupo k sharir se aar-par ho ja rha tha jaise wo hwa k bne huye ho.par unka war anthony ko nuksan pahucha rha tha.anthony samajh gya ki ye in sheesho k phiche maujud kisi insan ki chhaya hai aur uah agle hi ek shishe par war karne jata hai.
Tabhi ek aawaj gunjti hai wha.
Aawaj-thahro anthony agar tumne kisi galat sheeshe ko tod diya to tum is tilism se kabhi bahar nhi nikal paoge.aur is tilism k kaidi ban jaoge.
Anthony-kaun ho tum?
Aawaj-mai tumhara shubhchintak hu.mere bare me tum samay aane par jan jaoge.
Iske bad aawaj aani band ho gyi.
Anthony soch me pad jata hai ki us aawaj ki baato par vishwas kre ya na kre. Par fir wah aawaj ki bat man leta hai.aur kisi bi sheeshe ko todne se pahle unhe achhi tarah se check karta hai.par sabhi sheeshe ek jaise the aur unke bhitar ki aakriti bi ek jaisi. Anthony soch me pad jata hai ki in aneko sheesho me vah eklota sheesha kaun hoga jiski use talash hai.tabhi achanak uski nazar ek sheeshe par padti hai. Jiske bhitar ka insan use sansh leta hua lga.anthony samajh jata hai yhi vah sheesha hai jo uski manjil hai aur aisa sochkar vah us sheeshe ko tod deta hai. Sheeshe k tutte hi sabhi parchaiya gayab ho jata hai.par jiski vah parchaiya thi vah anthony par tut padta hai.Par ab anthony k liye use sambhalna mushkil nhi tha.anthony ne use apni thandi aag se jakad diya aur vah insan mar gya.uske marte hi vah tilism tutne lga aur ek nya dwar nazar aaya.anthony usme chala gya. Kuch hi dur aage anthony chala hoga ki use ek jordar lat lgi aur vah gir gya.anthony ne nazare uthakar dhekhi to wha sheeshe ka ek aadmi khada tha.
Shaki-mera nam shaki hai tu yha tak to pahuch gya par yha se jinda bachkar nhi jayega.aur vah anthony par war karne lagta hai.par anthony har bar teleport hokar bach ja rha tha.anthony ne shaki k sheeshe wale sharir par war kiya par koi asar nhi hua.anthony ne wha bhikhre pde kai aaujar uthakar bi shaki par prahar kiye par shaki k sheeshe wale sharir par koi asar nhi hua.tabhi vah aawaj dubara gunjti hai.
Aawaj-anthony ise bahar se nhi mara ja sakta ise kewal andar se mara ja sakta hai.
Aur aawaj aani gayab ho jati hai.
Anthony-andar se par ise andar se kaise mara ja sakta hai.
anthony ki samajh me kuch nhi aa rha tha.
Kramsh:
AMAN KUMAR
AMAN KUMAR

Posts : 84
Join date : 2012-06-07

Back to top Go down

Murda sharir Empty part-3.....

Post by AMAN KUMAR Mon Jun 11, 2012 11:36 am

Anthony shaki k lgatar war se preshan ho gya tha.shaki k vishal aur kathor sheeshe k pardharshi sharir par anthony ka koi war kargar nhi ho pa rha tha.thandi aag bi bekar ho ja rhi thi. aur anthony ka pura dhyan shaki k waro se bachne me barbad ho rha tha.

Shaki anthony ko koi khatarnak war karne ka mauka hi nhi de rha tha.lgatar sheeshe k bne dhardar chaku,talwar,teere anthony par chod rha tha aur anthony teleport hokar bach rha tha.

Ab anthony sochne par majboor ho gya tha ki us aawaj ka aakhir arth kya hai-
use andar se maro.
Ise andar se marne ka ye matlab to nhi ki iske sharir me ghuskar iske bhitri ango par prahar kiya jaye.yani iske liye mujhe iske sharir k andar jana hoga par isme khatra ho sakta hai agar mera sochna galat nikla to mai hmesha k liye is tilism me fans sakta hu.par aur koi rasta bi nhi hai.

Aur anthony shaki ke sharir me ghusne ka rasta khojne lga par use khi rasta nhi mil rha tha.tab anthony shaki k munh k jariye andar jane ki koshish karta hai par shaki k munh me itne sheeshe k dat the ki anthony k sharir me kai ched ho gye.
Anthony-iske sharir me aakhir jau kaise agar ek bar aur koshish ki iske munh k jriye andar jane ki to bacha khucha sharir bi khatam ho jayega kya kru,kya kru? Ek rasta hai mai teleport hokar bi iske sharir me pahuch sakta hu.

Aur aisa sochkar anthony uske pardarshi sharir k bhitar teleport hokar pahuch jata hai. (anthony jha tak dekh sakta hai wha tak teleport hokar pahuch sakta hai)

shaki k sharir me pahuchkar anthony apni thandi aag wha par chod deta hai jo thandi aag shaki ko bahar se nuksan nhi pahucha pa rhi thi whi ab uske ant ka karan ban gyi thi.

Shaki k marte hi anthony ka sharir shi ho gya tha.aur vah dubara teleport ho wha se nikal chuka tha.

Iske sath hi ye tilism bi tut jata hai aur anthony ek bde se hall me pahuchta hai jha par ek vishal murti thi aur uske aage ek pracheen book rakha hua tha.

Anthony ne us book ko dheka aur wah vah us book ko padne lga. 5min k bad ek aawaj se uska dhyan bhang hua.wha par mahakal aa chuka tha.

Mahakal-swagat hai anthony.mai tumhara shukriya kaise ada kru , samajh me nhi aa rha. chalo iske badle me mai tumhe tumhare is murda sharir se aajad karwa deta hu. Tumhe is sharir se mukti dilakar.

Anthony-ye...ye aawaj to whi hai jo meri madad kar rha tha.iska matlab tum hi meri madad kar rhe the par kyu? Kya chahte ho tum?

Mahakal-tumhara ye sharir jisse mai mahashaitan ko jinda karunga.

Anthony-koshish karke dhekh lo safal nhi ho paoge.aur abhi isi waqt mai tumhara khel khatam kar dunga.

Mahakal-ruk murde tu bahut jaldi taish me aata hai pahle puri bat to sun leta.itna to tu kitab padkar jan hi gya hoga ki mahashaitan sirf tabhi jinda hoga jab tilism todne wale ka sharir mahashaitan k sharir me dala jaye aur ye bi tha ki vah shakhs pahle se mra hua hona chahiye.ye shap use indradev ne tab diya tha jab mahashaitan k aatank se prithvi par kohram macha hua tha.indradev ne apni aur se puri koshish ki thi ye shap dekar ki mahashaitan dubara aatank machane k liye jinda na ho ske. Par shaitan dev ki kripa se mujhe tu mil jo markar bi jinda hai.
Ab jra gaur se ye dhekh-
mahakal man hi man kuch mantra padta hai aur wha par ek drishya chalchitra (tv ki tarah) chalne lagta hai. Scene tha kuch aisa-
ek 8 saal ka bachcha samundra k bich ek chote se tapu par behosh pda hua tha.aur uski aur samundra k jal-jeev jaise crocodial(magarmachchh) bad rhe the.

Anthony-ye to king hai.mujhe ise bchane jana hoga.

Mahakal-jaldi kya hai? In aatmao se to mil lo.
Aur mahakal anthony k phiche buri aatmaye chod deta hai.aur ek shakti-kiran ka war bi anthony k dimag par karta hai.

Anthony-inse niptana ka rasta to tere hath me pda vah tabiz hi hai afsos teri ye chal kamyab nhi huyi.
(aur anthony vah tabiz mahakal se jhapatkar tod deta hai.)

mahakal-khush mat ho anthony maine tere atit ko wapas bula diya hai jab tu pani se darta hai.
Ab dhekhna ye hai ki tu apne aane wale kal(king) ko bchana chahta hai ya bite huye kal(anthony ka murda sharir) ko.dono hi taraf se jeet meri gi hogi. Agar king mar gya to anthony yani tera kissa khatam kyuki king k karan hi tu dubara lauta hai. Aur agar tu king ko bchana chahta hai to tujhe apni aatma ko king k sharir me pahuchana hoga kyuki hydrofobia k karan tu samundra to par krega nhi. Soch jitna sochna hai par tere pas samay bahut hi kam bacha hai.

Anthony- (ye shi kah rha hai mujhe pahle apne punrjanm king k sharir ko bchana hoga fir apne murda sharir
ko)

aur aisa sochkar anthony aatma rup me king k sharir ki taraf badne lagta hai.aur anthony ka bejan murda sharir mahakal ki taraf ludhak jata hai.

Mahakal-hahaha jay ho shaitan dev ki. Mahashaitan ab jinda hoga aur puri duniya par raj krenge shaitan dev.
(mahakal anthony k murda sharir ko mahashaitan ko bhent kar deta hai aur mahashaitan dubara jinda ho gya tha prithvi par aatank failane k liye.
Kramsh:

king bacha ya mara gya?mahashaitan aur mahakal ne kya gul khilaya aur kya koi rok payega inhe-
jawab 4th part me
AMAN KUMAR
AMAN KUMAR

Posts : 84
Join date : 2012-06-07

Back to top Go down

Murda sharir Empty part-4.....

Post by AMAN KUMAR Mon Jun 11, 2012 6:27 pm

anthony apne aatmik rup me ek kshan k andar king tak pahuch gya tha aur aatmik rup me hi usne crocodial ko dur dhakel diya aur king k behosh sharir ko uthakar surkshit mariya k ghar par pahuch diya.
iske bad anthony sochne lga-uff mera sharir hi aaj meri barbadi ka karan ban rha hai.kya kru? kaise roku main us jalim mahakal aur mahashaitan ko? kuchh samajh me nhi aa rha hai. kya ab mai chupchap ye tamasha dhekhta rahu? nhi nhi, mujhe mahakal ko uske maksad me kamyab nhi hone dena hai.mujhe kisi bi halat me mahakal ko rokna hai.sirf mai hi hu jo mahashaitan ko rok sakta hu.mujhe kuchh bi karke apna sharir wapas hasil karna hi hoga par agar mai mahakal ya mahashaitan k kareeb bi gya to mahakal meri aatma ko kaid kar lega.mujhe apni madad ka intzam kar mahakal ko rokne jana chahiye. Aur aisa soch anthony ek aur ko chal diya.

idhar mahakal ne mahashaitan ke jariye manvo me halchal macha di thi.

mahakal-mujhe safal hone se koi nhi rok sakta ab.jald hi mahashaitan k shikar huye manvo k haddiyo ki madad se mai ek aise ashtra ka nirman karunga jiske prabhav se prithvi k sare vasi mere gulam ban jayenge.aur mahashaitan ko whi khatam kar sakta hai jo pahle se mra ho aur marne k bad bi jinda ho.aur aisa koi shakhs nhi hai.hahaha
anthony ko mene pahle hi apne jaal me fansakar uske sharir ko mahashaitan ka kaidi bna dala hai. jab maine pahli bar anthony k sharir ko apne shikanje me kasa tha.tabhi mujhe ek teer se do shikar karne ka upay sujha.pahla to tilism anthony k hatho tudwaya jaye taki tilism todne me meri tantra shakti bekar na jaye aur dusra anthony k sharir ko hi bali ka bakra bna diya jaye mahashaitan ko jinda karne me.jiski yukti mujhe anthony ka dimag padne aur uske punrajanm king k bare me jankar sujha.

itna sochne k bad mahakal yaado k bhanvar se bahar nikal vastvik duniya me laut aaya.

mahakal- mahashitan aur kohram machao aur bi jyada taki mai apna udhesya aur bi jaldi pura kar sku.

tabhi ghatnasthal par anthony aatmik rup me aa jata hai par vah mahakal ki tantrik nazro se bach nhi pata.

mahakal-aha apna sharir ganvane k bad bi tujhe hosh nhi aaya jo apne aatmik rup me mujhe rokne aaya hai.chala ja yha se warna mera ek hi war tere is aatmik rup ko chhin-bhin(nasht) kar dega.tujhe le jakar andhe kuye me latka dunga.

anthony-tere jaise neech tantrik k aisa karne se pahle hi mai tujhe khatam kar dalunga.

mahakal-bahut akad rha hai tu.pahle meri gulam aatmao se bachkar hi dhikha aur is bar na to tu aur na hi tera paltu kauwa aatmao ko niyntrit karne wale tabiz ko mujhse chhuda paoge.

anthony-ye gulam aatmaye mera ab kuchh nhi bigad payengi balki kuchh hi der me ye teri hi dushman ban jayengi.

aur itna kahkar anthony apne aatmik rup me hi un par war karne lga jo war pahle murda sharir se war karne k karan asar nhi kar rhe the whi war ab un aatmao ko baichlit kiye ja rhe the.

kuchh hi der me sabhi aatmaye bhag khadi huyi thi. mahakal ye dhekhkar buri tarah aagbabula ho utha aur koi mantra padte huye ek rassi anthony k upar uchhal diya jisme anthony jakda gya aur ab wo kuchh bi nhi kar sakta tha.

par tabhi achanak ek tantrik kiran k war se aatmik anthony ko kaid karni wali rassi jalkar tut gyi thi. mahalal ne us dhisha me dhekha me jha se kirne aayi thi to wha par venu khadi thi apni tantrik aujaro k sath.

ab mukabla brabari ka tha do tantriko k beech me mukabla jha ek taraf ek tantrik achhayi k liye lad rhi thi(venu) to whi dusra tantrik burayi k liye(mahakal).

dono hi ek dusre k upar kabu pane ki bharshak koshish kar rhe the par mahakal ka palda bhari hota ja rha tha. tabhi anthony k aatmik rup ne prince se kuchh kha aur prince wha se ek taraf ud chala aur thodi der bad kauwo ka pura ek jhund lekar aaya aur mahakal par war karne lga jisse mahakal ki tandra bhang ho gyi aur venu k var ne use parlok shidhar diya.tab anthony ne mahakal k sharir par kabja kar mahashaitan ko manav basti se dur le aaya(mahashaitan keval mahakal ki bate sunta tha is karan anthony ne mahakal par kabja kiya)aur fir achanak se mahashaitan k sharir k andar gush apne murda sharir me pravesh kar anthony mahashaitan k sharir ko chirte huye bahar nikal aaya.

mahakal k mar jane k karan anthony k murda sharir par chada tantrik aavran bi niskriya ho gya tha jiske bare me anthony ko venu ne btaya tha jab anthony usse madad lene k liye gya tha.

venu-yadi mahakal mara gya tabhi tum apne murda sharir ko vapas prapt kar sakte ho kyuki mahakal ne uspar tantrik kirno ka ek jaal bna diya hai jiske rahte tum apne sharir me pravesh nhi kar sakte.

anthony-oh to mahakal ne ek sath do kam kiye hai pahla mere jariye mahashaitan ko jinda karwa dala aur dusri ye ki mai mahashaitan ko mar na dalu. ha venu mai mahashaitan ko mar sakta hu aur aisa isliye ki mai pahle se hi markar jinda hu aur is karan mahashaitan ki shaktiya mujhpar asar nhi kregi aur mai aasani se uska khel khatam kar sakta hu jiske bare me mujhe tilism k andar rakhe us book se pta chala tha.

aur is tarah ek aur fatah hasil ki thi anthony ne.

the end
AMAN KUMAR
AMAN KUMAR

Posts : 84
Join date : 2012-06-07

Back to top Go down

Murda sharir Empty Re: Murda sharir

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum